tum bhee khafa ho laug bhee barham hain dosto
ab ho chala yaqeen kay burray ham hain dosto
kis ko hamaray haal say nisbat hay kiya karain
aankhain to dushmanoon kee bhee purnum hain dosto
apnay siwa hamaray na honay ka gham kissay
apni talash main to hamii ham hain dosto
kuch aaj shaam he say hay dil bhee bujha bujha
kuch shehr kay chiragh bhee madham hain dosto
is shehr-e-arzo say bhee bahar nikal chalo
ab dil kee raunaqain bhee koi dam hain dosto
sab kuch sahee faraz par itna zaroor hay
duniya main aisay laug boht kam hain dosto
No comments:
Post a Comment