Recent Posts

Saturday, July 24, 2010

Dosti

Tum ne moosam baadal te dekha.
Hum ne insaan baadal te dekha.
Doob rahi thi kasti meri sahil pe
doston ko haste dekha

Shayar to bohat miltay hay mushayaro ki mehfil may
dildarr bohat kam miltay hai dilwalo ki mehfil mai.

HARR PATHAR CHAMAKDAAR NAHI HOTA
HARR PHOOL KHUSBUDAAR NAHI HOTA
AYE DOST DOSTI DEKH KE KARR
HARR DOST WAFADAAR NAHI HOTA

phoolon ki har kali khushboo de aap ko,
Suraj ki har kiran roshni de aapko,
Hum to kuch dene ke kaabil nahin,
Dene waala har khushi de aap ko.

Is duniya mein DOST bahut kam milengey,
Is duniya mein gam hi gam milengey.
Jahan duniya nazar pher legi,
Oos morh pe dost tumhe "HUM" milengey.

Tum aao to rahoon main phool bichain gain
ashkoon ko bhala kab tak palkoon pe sajain ge
hony nahain dain gain hain aankhon se juda tum ko
ham tery mohabbat ko seenay se lagain ge.

Khayalon ko tere aahat ki aas rehti hai,
Nigahon ko teri surat ki talaas rehti hai,
Tere bin kisi chiz ki kami to nehin,
Tere SMS ka bina tabiyat udaas rehti hai.

Kaam ayay na mushkil main koi yahan
matlabi dost hain matlabi yaar hain
is jahan main nahi koi ahl-e-wafa
aye fanaa iss jahan say kanara karo

Koi hume dhoka de uska gham humain nahin.
badnaseeb hai woh jiske nasib main hum nahin.

Guzrey huey kal ki yaad aati hai,
Kuch lamhon se aankhen bhar aati hai.
Woh subah rangeen,woh shaam nirali doob jaati hai,
Jab aap jaise dost ki yaad aati hai

kya jaane kab maut ka paigam aa jaye,
na jaane kab zindagi ki shaam aa jaye
aey dost mujhe us din ka intezaar hai,
jab yeh zindagi tere kisi kaam aa jaye

har karz dosti ka adaa kaun karega?
jab hum hi nahin rahengey to dosti kaun karega?
aey khuda, mere doston ko salaamat rakhna,
varna mere jeene ki dua kaun karega ?

Rangnay walay rang say tasvir badal dete hain
Kamaan say nikla teer badal dete hain
Tumsay hamaray do aansu na badlay gaye
Badlnay walay to.. taqdir badal dete hain

Dosti ki tadap ko dikhaya nahin jaata,
dil mein lagi aag ko bujhaya nahin jaata.
kitni bhi doori ho dosti mein,
aap jaise dost ko bhulaya nahin jaata

mujhse kya bhool huvi jho dost mujhse dur huva
ayesa lagta hi jaise dil jism se dur huvaa

dosti ko aazmane me itna wakt lagadiya
ajab sawal kar baitha jiska jawab na de sake
ham chaaha kiye ilahi ki rehmat ho nazil
rehmat bhi aisi mili chahat ka hisaab na de sake
aaj phir reham maangte hain us khuda-e-aa'la se
jiske dar par jaake dil ko sawab na de sake.

No comments:

Post a Comment