aye meri maan!
mainay teri ungli pakar kar chalna seeka.
zamanay ki rah say guzarna seekha.
apni chahatoon say tunay banaya mujh ko.
roya jab bhi main galay lagaya mujh ko.
meri khoshyun ka apni zarorat jana .
teray saath mainay zindagi ko khoobsorat jana.
apnay ansoo chupaye fakat meri khatir.
apni khosyan dabain fakat merikhatir.
jo to na hoti to kia tha main.
aik zarray_e_bay kar tha main.
khuda ka nam tunay hi sikhaya mujh ko.
meri zaat ka ehsaas dilaya mujh ko.
apni ratain tunay jaag kar katin meri khatir.
main sota rahun teri anchal ki chaon main sada.
apni mamta ki hawa di hai tunay mujhay.
meri to zindagi bana di hai tunay.
aye maan ajj jab main sab kuch hun!
to bata kesay chukaon ga ehsaan tera.
teri chahatoon ka koi bhi mol nahi.
teri mamta ka kahin koi tol nahi.
bus yun hi basa lay mujhay apni chahon main.
kay ehsaas ,yeh lams tera.
mujhay sab khosyun say ziada piyara hai.
ajj main jo kuch bhi hun.
yeh ehsaan fakat tumhara hai.
No comments:
Post a Comment