kiya guzarti hai bhari dunya mein tanha shaks per
aik lamhe ke liye khud se bichar ker sochna
bichar ke tughe se ajab wehshaton ne ghera hai
udas rehta hai yeh dil bhi jangalon ki tarah
jis din tu bichar gaya yeh haal hai apni ankhon ka
jaise sawan ke do badal aapas mein takrate hain
tum se bichar ker bhi tumhain bhoolna asan na tha
tum ko hi yaad kiya tum ko bhoolane ke liye
tughe se mile bichar gae tughe se bichar ke mil gae
aisi bhi qurbatein rahen aise bhi faasle rahe
iss se bichre hoi halanke zamana guzra
bhi wahi shaks khayalon mein basa rehta hai
beete hoi lamhon ki tarah mughe se bichar ker
kiya jane woh kis haal mein hia aur kidhar hai
umar bhar ki chahaton ke khuwab ankhon mein liye
tum bhi bichar jao ge ik din auroon ki tarah
No comments:
Post a Comment