Dil ujdi huee aik saraaye kee tarah hai
Abb log yahaan raat bitaane nahi aate
Honton pe mohabbat ke fasaane nahi aate
Saahil pe samundar ke khazaane nahi aate
Palkein bhi chamak uth-ti hain sote mein hamaari
Aankhon ko abhi khwaab chhupaane nahi aate
Yaaro naye mausam ne ye ehsaan kiye hain
Abb yaad mujhe dard puraane nahi aate
Uddne dou parindon ko abhi shokh havaa mein
Phir laut ke bachpan ke zamaane nahi aate
Iss sheher ke baadal teri zulf kee taran hai
Yeh aag lagaate hain, bhujaane nahi aate
Ehbaab bhi ghairon kee adaa seekh gaye hain
Aate hain magar dil ko dukhaane nahi aate
No comments:
Post a Comment