Banaa gulaab to kaante chubhaa gayaa ik shakhs
Huaa chiraag to ghar hii jalaa gayaa ik shakhs
Tamaam rang mere aur saare khwaab mere
Fasaanaa thay ke fasaanaa banaa gayaa ik shakhs
Main kis hawaa main uroon main kis fizaa main lahraoun
Dukhoon ke jaal har suu bichaa gayaa ek shakhs
Palat sakoon na main agay barh sakoon jis par
Mujhe ye kaun se raaste pay lagaa gayaa ek shakhs
Muhabbatain bhii ajeeb us kii nafaratain bhii kamaal
Merii tarah kaa hii mujh main samaa gayaa ek shakhs
Wo mahtaab thaa marham ba-dast aayaa thaa
Magar kuch aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shakhs
Khulaa ye raaz ke aa_iinaa-khaanaa hai ye duniyaa
Aur is main mujh ko tamaashaa banaa gayaa ek shakhs
No comments:
Post a Comment