Recent Posts

Friday, September 24, 2010

Sada - Shairi

dayar-e-gair main kaisay tujhay sada daytay
tu mil bhi jata tou akhir tujhay gawa daytay

tumhi nay hum ko sunaya na apna dukh warna
dua wo kartay kay hum aasman hila daytay

humnain ye zaam raha kay wo pukarain gay
unhain ye zid thi kay har baar hum sada daytay

wo tera gham tha kay taaseet meray lehjay ki
kay jis ko haal sunatay usay rula daytay

tumhain bhulana hi awwal tou dastaras main nahin
jo ikhtiyar bhi hoota, tou kiya bhula daytay

tumhari yaad nay koi jawab hi na diya
meray khayal kay aansoo rahay sada daytay

samatoon ko main taumer kosta syed
wo kuch na kehtay magar hoonth tou hila daytay

No comments:

Post a Comment