Recent Posts

Thursday, September 30, 2010

Naaz uski wafa par mujhe tha

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya,
Khaak main meri hasti mila kar gaya.

Pyaas jiski sada main bhujata raha,
Zaher-e-katil mujhe wo pila kar gaya.

Naaz uski wafa par mujhe tha magar,
Teer woh bhi jigar par chala kar gaya.

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali,
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya.

Mangta tha sahara jo hardam mujhe,
Besahara mujhe wo bana kar gaya.

Neend aagosh main jiski aane lagi,
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya.

Aarzoo thi Yaar jiski mujhe,
Khwaab mere wahi to mita kar gaya

No comments:

Post a Comment