kai baar socha hae sur ko juka doon
kai baar socha hae aankhain bicha doon
yeh do nain apnay sitara bana kar
teray raastoon ko manawar bana doon
yeh aansoo yeh aahain yeh alaam e dunyan
mohabat k gham main her ik gham bhula doon
ghazaal e ghazal k tabussam say jaana
teri zindgani haseen tur buna doon
kitab e mohabat k ik ik warak per
yeh ji chahta hae men khudd ko saja doon
yeh rusmoon riwajoon ki dewarain saari
agar tu kahay to maen saari gira doon
agar day sakay saath mera too ae dil
to phir maen bhi rusm e muhabat nibha doon
No comments:
Post a Comment