Recent Posts

Sunday, August 22, 2010

Dukh Zamane Ke

bhula diye hain tere gham ne dukh zamane ke
khuda nahi tha to patthar ki moorten thi buhat

pattharon se to chale aae hain bach ker laiken
dil ko hai khuaf ke phoolon se kuchle jaaenge

rang la ker hi raha akhir mera zauq junoon
raiza hoon magar patthar se takrata hoon mein

mein jis ke haath mein aik phool de ker aaya tha
ussi ke haath ka patthar meri talash mein hai

phool sajaen daman mein yeh zakhmon ki pehchan nahi
jo na kisi ka dukh baante woh patthar hai insan nahi

yun hi tameer hote rahe ager sheesh mahal
ik din shaher ki har raah mein patthar honge

mana ke chup rehne se pagal pan barh jaata hai
patthar ke iss shaher mein koun kisi se baat kare

No comments:

Post a Comment